• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nahin Haal-E-Dehli Sunane Ke Qabil

Nahin Haal-E-Dehli Sunane Ke Qabil

poet

nahin hal-e-dehli sunane ke qabil

ye qissa hai aansu bahane ke qabil

ujaḌe hain vo qasr ek ek is ke

jo the dekhne aur dikhane ke qabil

na aa.i ḳhush-abadi un ki falak ko

na the varna vo to miTane ke qabil

na paaya koi aur un ke siva kya

falak kya vahi the satane ke qabil

kiya aah barbad chun chun ke un ko

na the jo ki barbad jaane ke qabil

milaya jinhen ḳhaak men tu ne vo to

na the ḳhaak men yuun milane ke qabil

nahin ghus lagane ko chiḌiya talak vo

jahan jam.a the ik zamane ke qabil

sitam sa sitam tu ne Dhaya hai zalim

nahin baat ye munh pe laane ke qabil

unhen ḳhak-e-zillat pe paTka hai the vo

jo ankhon ke uupar biThane ke qabil

kahen hain sab ahbab dehli ko chaliye

rahi hai kahan ab vo jaane ke qabil

jise dekh kahte the sayyah-e-alam

ye hai ja-e-aram paane ke qabil

use dekh bulbul bhi kahti hai ye ja

nahin ashiyan ab banane ke qabil

suna jis ne ye haal afsos khaya

ye hai haal afsos khane ke qabil

ilahi basa phir tu apne karam se

use kyunki hai vo basane ke qabil

dikha.e hain afsos vo dil falak ne

na the ‘aish’ jo dil dikhane ke qabil

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ishrat-afreen

Wo Mere Khwab-E-Pairahan Chhu Kar

khwaja-meer-dard

Madrasa Ya dair Tha Ya Kaba Ya But-Khana Tha

Ek Lamha-E-Visal Tha Wapas Na Aa Saka

Kya Kahun Ham-Nashin Ye Mera Bhag

Sufi

Siyah-Raat Pasheman Hai Ham-Rakabi Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet