• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Is Arz Ke taKHte Par Sansar Hai Aur Main Hun

Is Arz Ke taKHte Par Sansar Hai Aur Main Hun

poet

is arz ke taḳhte par sansar hai aur main huun

mauhum hua to kya par yaar hai aur main huun

paḌti hai nazar jidhar vo yaar hai aur main huun

hai kaun siva mere dildar hai aur main huun

main yaar kane qasid bheja to hai par shayad

le naama agar aaya ribar hai aur main huun

moḌunga nahin munh ko main ishq ke maidan se

is yaar ke abru ki talvar hai aur main huun

ab dekhiye kya nibTe siina hai sipar apna

vo ḳhanjar-e-mizhgan ka ḳhun-ḳhar hai aur main huun

jab se ba-sanam-ḳhana ki main ne qadam-bosi

sau tarah ki zahid se takrar hai aur main huun

rahib ne mire qashqa sandal ka lagaya hai

naqus hai ghanTa hai zunnar hai aur main huun

naf-o-zarar-e-duniya duniya hi pe main chhoḌa

ab ishq ka ai yaaro bevpar hai aur main huun

hairan main huun ai yaaro kis vaste ‘afridi’

rusva.i ba-har kucha bazar hai aur main huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apne Hone Key Jhalak Deta Hai

Ruh Mein Ghor Andhere Ko Utarne Na Diya

paDi Wo Zad Ki Nigahon Ka Hausla TuTa

Ye Kaisi Aaya-E-Moajiz-Numa Nikal Aai

Hazar zaKHm Hain Dil Par Jigar Pe Khae Hue

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet