ye vahm tha mira ya phir hava ka jhonka tha
tha mahv-e-ḳhvab uThaya bala ka jhonka tha
ukhaḌ phenka hai jis ne daraḳht ko jaḌ se
vo zulmaton ke nagar ki ana ka jhonka tha
miri sada tire kanon talak jo pahunchi thi
qusur-var barabar hava ka jhonka tha
tavaf karne jo aaya tha raat chupke se
guman kahta hai tishna sada ka jhonka tha
jo mere saath raha ban ke sa.eban ‘tanha’
vo meri maan ke labon ki dua ka jhonka tha
Leave a Reply