sailab qasr-e-dil se guzarta hua sa hai
shishe ka ye makan bikharta hua sa hai
Thahre kahan nigah ki suraj hai samne
ankhon men dhuup dasht utarta hua sa hai
kuchh bhi mila nahin hai samundar men Duub kar
lekin jazira koi ubharta hua sa hai
dhundla rahe hain naqsh havadis ki maar se
manzar tumhari yaad ka marta hua sa hai
ghar men udasiyon ka hai mela laga hua
mausam ghamon ka apne nikharta hua sa hai
lekin mujhe ye shaam jaga.egi rat-bhar
din ka har ek zaḳhm to bharta hua sa hai
Leave a Reply