• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tamam Umr Ho Na Pai Wo Nazar Apni

Tamam Umr Ho Na Pai Wo Nazar Apni

poet

tamam umr ho na paa.i vo nazar apni

rah-e-hayat men banti jo ham-safar apni

hazar sang-e-garan zindagi ki raah men the

na jaane kaise jahan men hui basar apni

zamin pe zabt-e-fughan sa.i-e-ra.egan Thahra

falak pe ja ke hui aah be-asar apni

kisi risale men shaa.e ho jaise koi ghazal

kuchh is tarah se hui baat mushtahar apni

mujhe shikayat-e-aghyar se gharaz kyon ho

hansi uḌaa.i hai yaron ne ḳhaas kar apni

vo kya kisi ko mulaqat ka sharaf dega

jo ḳhairiyat bhi na likh paa.e do satar apni

mila na chain tiri justuju men saara din

lagi na aankh tire gham men raat bhar apni

suragh-e-manzil-e-irfan na mil sakega kabhi

ghalat-ravi se hazimat hai sar-basar apni

gulon ka ḳhuun tha rang-e-bahar ke pichhe

fareb kha na saki chashm-e-mo’atabar apni

hava-e-shauq ke pichhe ghubar ban ke uḌi

bisat bhuul ga.i hasti-e-bashar apni

main inkishaf karun bhi to kis tarah se ‘saba’

tavil raaz hai aur umr muḳhtasar apni

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

riyaz-khairabadi

Hangam-E-Naza Girya Yahan Be-Kasi Ka Tha

Dayar-E-Ishq Mein Aate Kabhu Ruton Ke Liye

poet

Dil Mein Mere Har ghaDi Dariya-E-Gham Labrez Hai

Shab-E-Firaq Jo Dil Mein KHayal-E-Yar Raha

Hum Kaamyab Ho Ke Bhi Nakaam Rah Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet