dikhlaya raqiban ne naya koi hunar phir
badli si nazar aati hai kuchh un ki nazar phir
marta hai jo har roz magar mar nahin chukta
kal raat ko ghar aa gaya vo sho.abda-gar phir
ab jutiyon se aisi ḳhabar luun ki rakhe yaad
dekhe to mua meri taraf bhar ke nazar phir
ik saal ki guDDi abhi hone bhi na paa.i
lo ho gaya bhabi ke yahan nur-e-nazar phir
ummid se sunti huun paḌosan ki hai naani
lo sukhe hue naḳhl men aaya hai samar phir
kal raat ko jab sone ga.iin achchhi bhali thiin
lo sub.h se dukhne lagi bhabi ki kamar phir
Leave a Reply