main us ki ankhon ko dekhta rahta huun
magar meri samajh men kuchh nahin aata
main us ki baton ko sunta rahta huun
magar meri samajh men kuchh nahin aata
ab agar vo kabhi mujh se mile
to main us se baat nahin karunga
us ki taraf dekhunga bhi nahin
main koshish karunga
mera dil kahin aur mubtala ho jaae
ab main use yaad bana dena chahta huun
Leave a Reply