rishta jigar ka ḳhun-e-jigar se nahin raha
mausam tavaf-e-kucha-o-dar ka nahin raha
dil yuun to gaah gaah sulagta hai aaj bhi
manzar magar vo raqs-e-sharar ka nahin raha
majbur ho ke jhukne laga hai yahan vahan
ye sar bhi tere ḳhak-ba-sar ka nahin raha
ghar ka to ḳhair zikr hi kya hai ki zehn men
naqsha bhi us bhare-pure ghar ka nahin raha
bandha kisi ne raḳht-e-safar is tarah ki ab
dil ko ‘fuzail’ shauq safar ka nahin raha
Leave a Reply