pata mila hai vo tha mera ham-safar bahut der ba.ad ja kar
kahan kahan se mili hai mujh ko ḳhabar bahut der ba.ad ja kar
main muddaton saqf-e-zindagi par khaḌe khaḌe tum ko dekh aaya
ye tum bhi kya ho ki aa.e mujh ko nazar bahut der ba.ad ja kar
miri tamanna hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskura.en
ki dekhna hai ye raushni ka safar bahut der ba.ad ja kar
mujhe batao main kyuun na is uThti dhuul ke saath baiTh ja.un
mujhe ḳhabar hai vo aa.ega baam par bahut der ba.ad ja kar
ḳharab mausam men har shajar se larazte patton ne kya kaha tha
ki phuul aane lage hain ab shaḳh par bahut der ba.ad ja kar
qayamaton ki tarah guzarenge ye mah-o-sal hijraton ke
tamam hoga juda.iyon ka safar bahut der ba.ad ja kar
miri ghazal men jab aa.e ‘ja.afar’ nazar unhen ma.arke hunar ke
hue mire mo’tarif sab ahl-e-nazar bahut der ba.ad ja kar
Leave a Reply