KHud Ko Mumtaz Banane Ki Dili-KHwahish Mein

ḳhud ko mumtāz banāne kī dilī-ḳhvāhish meñ

dushman-e-jāñ se milī merī anā sāzish meñ

ruuh raushan na huī aur na dil hī bahlā

vaqt barbād kiyā jism kī ārā.ish meñ

aaj mākūs hai ā.īna-e-ayyām-e-jahāñ

niim meñ rañg-e-hinā zor-e-tapish bārish meñ

ḳhud ko minnat-kash-e-qismat na karo dīda-varo

gulshan-e-shauq ugānā hai tumheñ ātish meñ

dast-basta hai sahar shab kī ijāzat ke liye

ab ke ḳhuddār tabī.at na rahī tābish meñ

pasti-e-fikr-o-nazar vahshat-e-asrār-o-rumūz

ho rahā hai ba-ḳhudā jahl fuzūñ dānish meñ

qabza-e-vaqt meñ jugnū hai sitāra ki sharār

ham faqīroñ kā bhalā hogā na ālā.ish meñ

bāñdh le apnī girah meñ ye nasīhat ‘rāhī’

zabt se kaam le nāḳhun na baḌhā ḳhārish meñ

Leave a Comment