mubarak ho ye tarz-e-be-ruḳhi ye hausla tujh ko
mujhe tu bhuul jaa.e itni ḳhushiyan de ḳhuda tujh ko
hazaron aks lahrate hain sat.h-e-ab-dida par
kise nabud kar dena hai tufan-e-bala tujh ko
kahin ḳhuddariyan tanha.iyon se jhenp jaati hain
mire kuchh sher paḌh lena maza aa ja.ega tujh ko
vaqar-e-shaḳhsiyat men farq to paḌta nahin lekin
asar-andaz hota hai hamara dekhna tujh ko
ye kya andaz hai ‘ash.har’ sharifon se taḳhatub ka
sharaf baḳhsha na ja.ega kisi taqrib ka tujh ko
Leave a Reply