vo kam-suḳhan na tha par baat soch kar karta
yahi saliqa use sab men mo’tabar karta
na jaane kitni ghalat-fahmiyan janam letin
main asl baat se pahlu-tahi agar karta
main sochta huun kahan baat is qadar baḌhti
agar main tere ravayye se dar-guzar karta
mira adu to tha ilm-ul-kalam ka mahir
mire ḳhilaf zamane ko bol kar karta
akele jang laḌi jiit li to sab ne kaha
pahunchte ham bhi agar tu hamen ḳhabar karta
miri bhi chhanv na hoti agar tumhari tarah
main inhisar buzurgon ke saa.e par karta
safar men hoti hai pahchan kaun kaisa hai
ye aarzu thi mire saath tu safar karta
ga.e dinon men ye ma.amul tha mira ‘taimur’
ziyada vaqt main ik ḳhvab men basar karta
Leave a Reply