agahi aa.ine talak hai kya
ḳhud ke hone men koi shak hai kya
qarya qarya bhaTak rahe hain log
sab ko andha kiye chamak hai kya
munh pe aati hain an-kahi baten
dil men baaqi abhi kasak hai kya
andar andar se hil raha huun main
hoti mahsus kuchh dhamak hai kya
tum jo ankhon ko band rakhte ho
dekh li us ki ik jhalak hai kya
kyuun nigahon men hain miri sab rang
mere pesh-e-nazar dhanak hai kya
hai uḌanon ka silsila har-su
ab zamin ki tarah falak hai kya
koi manzar bhi ab nahin bhata
mustaqil aankh men khaTak hai kya
un ko aati hai kyuun haya ‘rahat’
pairahan sirf jism tak hai kya
Leave a Reply