tu vafa kar ke bhuul ja mujh ko
ab zara yuun bhi aazma mujh ko
ye zamana bura nahin hai magar
apni nazron se dekhna mujh ko
be-sada kaghazon men aag laga
aaj ki raat gunguna mujh ko
tujh ko kis kis men dhundhta akhir
tu bhi kis kis se mangta mujh ko
ab kisi aur ka pujari hai
jis ne maana tha devta mujh ko
Leave a Reply