ba.ad muddat ke vo mila hai mujhe
Dar juda.i ka phir laga hai mujhe
aa gaya huun main dastaras men tiri
apne anjam ka pata hai mujhe
kya karun ye kabhi nahin kahta
jo karun us pe Tokta hai mujhe
tujh se mil ke main jab se aaya huun
har koi muḌ ke dekhta hai mujhe
ab talak kuchh varaq hi palTe hain
tujh ko ji bhar ke banchna hai mujhe
Thokaren jab kabhi main khata huun
kaun hai vo jo thamta hai mujhe
sochta huun ye soch kar main use
vo bhi aise hi sochta hai mujhe
main tujhe kis tarah bayan karun
ye karishma to sikhna hai mujhe
niind men chal raha tha main ‘niraj’
tu ne aa kar jaga diya hai mujhe
Leave a Reply