• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dar-e-Khayal Bhi Kholen Siyah Shab Bhi Karen

dar-e-Khayal Bhi Kholen Siyah Shab Bhi Karen

abhishek-shukla

dar-e-khayal bhi kholen siyah shab bhi karen

phir us ke baad tujhe sochen ye ghazab bhi karen

vo jis ne shaam ke mathe pe haath phera hai

ham us charagh-e-hava-saz ka adab bhi karen

siyahiyan si bikharne lagi hain siine men

ab us sitara-e-shab-tab ki talab bhi karen

ye imtiyaz zaruri hai ab ibadat men

vahi dua jo nazar kar rahi hai lab bhi karen

ki jaise khvab dikhana tasalliyan dena

kuchh ek kaam mohabbat men be-sabab bhi karen

main janta huun ki tabir hi nahin mumkin

vo mere khvab ki tashrih chahe jab bhi karen

shikast-e-khvab ki manzil bhi kab nai hai hamen

vahi jo karte chale aaen hain so ab bhi karen

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil-E-Shikasta Ki Nim-Jaan KHwahishon Ko Jina Sikha Rahi Hai

uThne Ko to uTTha Hun Mahfil Se Teri Lekin

saleem-kausar

Safar Ki Ibtida Hui Ki Tera dhyan Aa Gaya

KHwahishon Ka Imtihan Hone to Do

poet

Kab Mujhe Tala-E-Na-Saz Pe Rona Aaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet