mera tujh se sitara mil raha tha
kinare se kinara mil raha tha
likha tha naam main ne jo ḳhuda ka
usi ka bas sahara mil raha tha
tumhare ba.ad milne hijr aaya
dukhi ho kar dobara mil raha tha
nigahon men kisi ki aas le kar
kisi se dil hamara mil raha tha
jo tha uncha tumhara silsila to
vahin shajara hamara mil raha tha
tumhare ahd ke ham munharif the
yahi ilzam saara mil raha tha
chale aao ki ab ye raat biite
ki shab se din ka taara mil raha tha
‘hina’ ye raaz ham ne dil men rakkha
mila jo bhi tumhara mil raha tha
Leave a Reply