Wo Kya Zindagi Jis Mein Joshish Nahin

vo kyā zindagī jis meñ joshish nahīñ

vo kyā aarzū jis meñ kāvish nahīñ

junūñ ā.ina-dār-e-soz-e-darūñ

junūñ par ḳhushī kī navāzish nahīñ

muqaddar kā marhūn-e-minnat hai ye

tirā martaba vaj.h-e-nāzish nahīñ

haqīqat kā akkās merā kalām

tasanño nahīñ is meñ koshish nahīñ

ye iz.hār-e-sāda hai jazbāt kā

kamāl-e-hunar kī numā.ish nahīñ

zamāne se huuñ be-niyāz is qadar

satā.ish kī bhī dil meñ ḳhvāhish nahīñ

ye kyā ho gayā tere maktūb meñ

ta.alluq kā rañg-e-nigārish nahīñ

use mil sake kāmyābī kahāñ

madad-gār jis kī sifārish nahīñ

vo be-bāk āzād-guftār hai

kabhī ‘krishn’ mohan ko bandish nahīñ

Leave a Comment