duniya se be-shumar musalman guzar ga.e
husn-e-azal pe shashdar-o-hairan guzar ga.e
mumkin na tha ki diid ki ne.amat yahan mile
dil men liye visal ke arman guzar ga.e
insaniyat ko naaz tha jin ke vajud par
aise bhi jaane kitne hi insan guzar ga.e
aalam fana-pazir hai baaqi hai zat-e-haq
lakhon karoḌon hazrat-e-insan guzar ga.e
tufan jo uTh raha hai vo baiThega ek din
aise na jaane kitne hi tufan guzar ga.e
islam ka muhafiz-o-nigaran hai ḳhud ḳhuda
ham jaise jaane kitne musalman guzar ga.e
husn-e-azal hai aaj bhi jalva-fagan ‘uruj’
husn-e-azal ke laakh ghazal-ḳhvan guzar ga.e
Leave a Reply