dil thahra ek tabassum par kuchh aur baha ai jaan nahin
gar hans diije aur le liije to faeda hai nuqsan nahin
ye naaz hai ya istighna hai ya tarz-e-taghaful hai yaaro
jo laakh koi tadpe siske fariyad kare kuchh dhyan nahin
jab sunta hai ahval mira yuun kahta hai ayyari se
hai kaun vo us se ham ko to kuchh jaan nahin pahchan nahin
kuchh ban nahin aata kya kiije kis taur se miliye ai hamdam
vo dekh hamen ruk jaata hai aur ham ko chain ik aan nahin
tar dekh ke meri ankhon ko ye baat sunata hai hans kar
hain kahte jis ko chaah miyan vo mushkil hai asan nahin
dil phans kar us ki zulfon men tadbir rihai ki mat kar
kab chhuta us ke daam se tu vo daana hai nadan nahin
Leave a Reply