katunga shab tadap kar ro kar sahar karunga
furqat men teri janan yuun hi basar karunga
kahta hai ishq-e-dilbar furqat men ho na muztar
dil men guzar karunga ankhon men ghar karunga
aata nahin vo dilbar kahta hai roz mujh se
aane ki apne tujh ko pahle khabar karunga
tum ja rahe ho jaao ai but mira khuda hai
siine ko ranj-e-furqat patthar jigar karunga
qatron men chashm-e-tar ke tasvir-e-dil-ruba hai
hasrat se kyuun na us ki janib nazar karunga
ashiq ka qafila ab jaata hai un ke dar par
bang-e-jaras banunga nalon ko sar karunga
turbat ko dekh kar main kahta huun ai ‘jamila’
ai gor main bhi tera abad ghar karunga
Leave a Reply