mujhe be-rahm hasti ke ziyan-khane men kyuun bheja gaya
kyuun halqa-e-zanjir men rakh di gaiin be-tabiyan meri
har ik manzar miri nazron ka juuya tha
farozan shakh-saron par hujum-e-rang-o-bu
udta hua bar-ravan
simab-pa maujen
saba ka raqs-e-be-parva
shab-e-mahtab ka afsun
mah-o-anjum ke raqsan daere
ru-e-shafaq
taban ufuq
dariyaon ki raftar
shab ke jagte asrar
sahra ka munavvar sina-e-uryan
tilism-e-be-karan ke khvab-gun saae
miri raton men misl-e-barq lahrae
sitaron ki tajalli men tha harf-e-kun ka afsana
bada faiyyaz tha fitrat ka kashana
kai sahra mire gam-e-tamanna ke shanasa the
vo harf-o-saut ki vaadi
vo zauq-e-sher ka jaada
vo irfan ke gurezan astanon par jabin-sai
vo danish ki pazirai
vo maani ki ghaneri chhanv men
zehn-e-rasa ka kashf vo
asrar ke parde ke pichhe
dil ki mahshar-khez avazen
dil ki mahshar-khez avazen
vo gham-ha-e-nihani se farozan zauq-e-binai
vo daman ka har ik khar-e-mughilan se ulajhna
tul-o-arz dasht-o-dariya paar kar jaana
vo har zarre men dharti ki sada sunna
vo har qatre ke aine men
nur-e-husn-e-mutlaq ka larazna
dil-e-nazar harf-o-hunar ka ek ho jaana
takallum justuju raftar-o-gham ka muddaa paana
koi isa-nafas deta tha nam-e-zist nazrana
larazta iltihab agahi se tha miri nazron ka paimana
gurezan saaton ke karvan ko kis ne pakda hai
nazar mahv-e-maal-e-dosh-o-farda hai
kai divar-o-saqaf-o-saiban ke munjamid chehre
kai unchi fasilen raah men haail
kai be-faiz kavish-ha-e-tanhai
kai be-mehriyan paikar be-mafhum pur-mail
kai tiron ne meri khema-gah-e-shaq ko cheda
kai tarkash hue is jism par khali
hui jaati hai razm-e-zindagani muzmahil ghayal
nishat-o-dard ki vo khosha-chini chhod di ham ne
anan-e-husn-e-imkan tod di ham ne
sukun shaam hai
bujhne lage saare ayagh-e-garm-raftari
shikasta-tar hasti ki tarah larzan hain
gird-o-pesh ke shab-tab nazare
vo saaat aan pahunchi hai
nigah-e-vapsin ke muntazir hain tutte taare
mujhe shayad himala ki falak-paimaiyan avaz deti hain
main apni maut se
in barf-zaron ki darakhshanda maayyat men milungi
tod dungi halqa-e-zanjir mahjuri
Leave a Reply