• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shabab-E-Husn Hai Barq-O-Sharar Ki Manzil Hai

Shabab-E-Husn Hai Barq-O-Sharar Ki Manzil Hai

shabab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai

ye azma.ish-e-qalb-o-nazar ki manzil hai

savad-e-shams-o-qamar bhi bashar ki manzil hai

abhi to parvarish-e-bal-o-par ki manzil hai

ye mai-kada hai kalisa o ḳhanqah nahin

uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai

hamen to raas hi aa.i fughan ki be-asari

magar batao to koi asar ki manzil hai

vo rahbari-e-janab-e-ḳhizar ki manzil thi

ye rahnuma.i-e-fikr-e-bashar ki manzil hai

ye raaz pa na sake sahiban-e-hosh-o-ḳhirad

junun bhi ik nigah-e-parda-dar ki manzil hai

qayam shamil-e-mashq-e-ḳhiram hai ‘taban’

safar ka tark bhi goya safar ki manzil hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aaj Ki Raat Bhi Guzri Hai Meri Kal Ki Tarah

Ye Himaqat Mere Idrak Pe Chhai Hui Hai

Ek Ariza Hai Dil-E-Mushtaq Mein Rakkha Hua

Tera Lutf Aatish-E-Shauq Ko Had-E-Zindagi Se baDha Na De

Zehn Mein Lagta Hai Jab KHush-Rang Lafzon Ka Hujum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet