patthar par tasvir bana kar
paani men chhup jaata hai
sahra sahra khaak udata
jangal men lahrata hai
sukhe patton ko khadkata
sabze se sharmata hai
sadiyon ke tarik khandar men
jab avaz lagata hai
la-mahdud khala ke lab par
khamoshi ban jaata hai
Leave a Reply