mudda.a dil ka kabhi lab ashna hota nahin
ishq ka mafhum lafzon men ada hota nahin
husn valon ka karam dil par rava hota nahin
ye ḳhabar hoti to un par mubtala hota nahin
maut se bad-tar hai tere asare par zindagi
kaash koi zindagi ka aasra hota nahin
aap ke hamrah sab daman-kashan hone lage
aaj dil men dard bhi kal se siva hota nahin
hijr ka gham har ghaḌi hai saath saa.e ki tarah
ya.ani tariki men bhi mujh se juda hota nahin
main gada-e-ku-e-janan huun to sab hain ta.ana-zan
varna ‘qaisar’ alam-e-imkan men kya hota nahin
Leave a Reply