dil agar daghdar ho jaata
ik sarapa bahar ho jaata
daman-e-sabr hijr ke hathon
kyuun na yuun tar-tar ho jaata
vaa.e majburiyan mohabbat ki
zabt par iḳhtiyar ho jaata
main ne yuun shikva-e-jafa na kiya
vo agar sharmsar ho jaata
paas hota agar vo jan-e-bahar
be-niyaz-e-bahar ho jaata
ik nigah-e-karam jo ho jaati
phir to beḌa hi paar ho jaata
un ki tirchhi nazar ka kya kahna
jis pe paḌti shikar ho jaata
un nigahon ki mastiyan tauba
mai-kada sharmsar ho jaata
pyaar karte hain vo jinhen ‘shankar’
kaash un men shumar ho jaata
Leave a Reply