tegh lahu men duubi thi aur ped khushi se jhuma tha
bad-e-bahari chali jhuum ke jab us ne mujh ko dekha tha
ghayal nazren us dushman ki aise mujh ko takti thiin
jaise anhoni koi dekhi un kamzor nigahon ne
ye insaf to baad men hoga kya sachcha kya jhuta hai
kaun yaqin se kah sakta hai kaun bura kaun achchha hai
lekin phir bhi ek baar to mera dil bhi kanpa tha
kaash ye sab kuchh kabhi na hota main ne dukh se socha tha
ghayal nazren us dushman ki gahri soch men khoi thiin
jaise anhoni koi dekhi un kamzor nigahon ne
kaun huun main aur kaun tha vo jis par honi ne vaar kiya
kaun tha vo jis shakhs ko main ne bhari bahar men maar diya
Leave a Reply