dayar-e-hijr men ḳhud ko to akasr bhuul jaata huun
tujhe bhi main tiri yadon men kho kar bhuul jaata huun
ajab din the ki barson zarb-e-ḳhushbu yaad rahti thi
ajab din hain ki fauran zaḳhm-e-ḳhanjar bhuul jaata huun
guzar jaata huun ghar ke samne se be-ḳhayali men
kabhi daftar ke darvaze pe daftar bhuul jaata huun
isi baa.is baḌi chahat se milta huun ki main akasr
juda hote hi chehra naam paikar bhuul jaata huun
mujhe patthar ki surat hi sahi zinda to rahna hai
so main har vaqi.a manzar-ba-manzar bhuul jaata huun
vo sab kuchh yaad rakhta huun bhulana jis ka behtar ho
magar jo yaad rakhna ho sarasar bhuul jaata huun
Leave a Reply