dil ke zaḳhmon ka kuchh kya na karo
chaak ho jaa.e to siya na karo
ḳhvab hote hain dekhne ke liye
un men ja ke sanam jiya na karo
jise tum chhoḌ aa.e ho vo shahr
use ab yaad tum kiya na karo
raah men chhoḌ kar chala jo gaya
naam us shaḳhs ka liya na karo
baḌe adab hain musha.ere ke
kabhi vaqt-e-suḳhan piya na karo
itna kam-zarf vo nahin ‘maham’
use tum mashvare diya na karo
Leave a Reply