jis ko kuchh dhan ho kare ham se haqiqat ki bahs
ki hamin jante hain ahl-e-tariqat ki bahs
qaziya haath badha shisha-e-sahba to utaar
taq-e-nisyan pe tu rahne de shariat ki bahs
kar diya mujtahid-e-vaqt ko qatil jhat-pat
ham ne masjid men kal aise hi qayamat ki bahs
bazm-e-rindana men kya rind-o-varaa ka charcha
shaikh-sahib hai bahut ye to himaqat ki bahs
bu-ali saath koi bolte ‘insha’ ko sune
roz hoti hai baham ahl-e-balaghat ki bahs
Leave a Reply