koi ḳhushi na koi ranj mustaqil hoga
fana ke rang se har rang muttasil hoga
ajab hai ishq ajab-tar hain ḳhvahishen is ki
kabhi kabhi to bichhaḌne talak ko dil hoga
badan men ho to gila kya tamash-bini ka
yahan to roz tamasha-o-ab-o-gil hoga
abhi to aur bhi chehre tumhen pukarenge
abhi vo aur bhi chehron men muntaqil hoga
ziyan mazid hai asbab DhunDhte rahna
hua hai jo vo na hone pe mushtamil hoga
tamam-rat bhaTakta phira hai saḌkon par
hui hai sub.h abhi shahr muzmahil hoga
Leave a Reply