mere siva bhi koi giraftar mujh men hai
ya phir mira vajud hi bezar mujh men hai
meri ghazal kisi ke takallum ki bazgasht
ik yar-e-ḳhush-kalam-o-tarah-dar mujh men hai
had hai ki tu na meri aziyyat samajh saka
shayad koi bala ka adakar mujh men hai
jis ka vajud vaqt se pahle ki baat hai
vo bhi adam se barsar-e-paikar mujh men hai
tu hai ki teri zaat ka iqrar har-nafas
main huun ki meri zaat ka inkar mujh men hai
tujh se na kuchh kaha to kisi se na kuchh kaha
kitni shadid ḳhvahish-e-iz.har mujh men hai
main kya huun ka.enat men kuchh bhi nahin huun main
phir kyuun isi saval ki takrar mujh men hai
jis din se main visal ki asudgi men huun
us din se vo firaq se do-char mujh men hai
main huun ki ek pal ki bhi fursat nahin mujhe
vo hai ki ek umr se be-kar mujh men hai
Leave a Reply