tumhen aisa be-rahm jaana na tha
gharaz kya kahen dil lagana na tha
agar us gali se nikalte to phir
do aalam men apna thikana na tha
liya imtihan-e-vafa hi men ji
hamen yaan talak azmana na tha
vo tha kaun sa tera tir-e-sitam
ki main aah us ka nishana na tha
kiya kis ki ankhon ne ‘rasikh’ pe sehr
vo aage to aisa divana na tha
Leave a Reply