• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Rang-E-Dil Rang-E-Nazar Yaad Aaya

Rang-E-Dil Rang-E-Nazar Yaad Aaya

rang-e-dil rang-e-nazar yaad aaya

tere jalvon ka asar yaad aaya

vo nazar ban ga.i paigham-e-hayat

halqa-e-sham-o-sahar yaad aaya

ye zamana ye dil-e-divana

rishta-e-sang-o-guhar yaad aaya

ye naya shahr ye raushan rahen

apna andaz-e-safar yaad aaya

raah ka ruup bani dhuup apni

koi saaya na shajar yaad aaya

kab na us shahr men patthar barse

kab na us shahr men sar yaad aaya

ghar men tha dasht-navardi ka ḳhayal

dasht men aa.e to ghar yaad aaya

gard uḌti hai sar-e-rah-e-ḳhayal

dil-e-nadan ka safar yaad aaya

ek hansti hui badli dekhi

ek jalta hua ghar yaad aaya

is tarah shaam ke saa.e phaile

raat ka pichhla pahar yaad aaya

phir chale ghar se tamasha ban kar

phir tira rauzan-e-dar yaad aaya

kisi patthar ki haqiqat hi kya

dil ka a.ina magar yaad aaya

aanch daman-e-saba se aa.i

e.atibar-e-gul-e-tar yaad aaya

dil jala dhuup men aisa ab ke

paanv yaad aa.e na sar yaad aaya

gar paḌe haath se kaghaz ‘baqi’

apni mehnat ka samar yaad aaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Karte Hue Tawaf-E-KHayalat-E-Yar Main

KHayal Jaan Se baDh Kar Safar Mein Rahta Hai

Chahiye Duniya Na Uqba Chahiye

Ye Shishe Dil Ke Jo Bikhre Hue Hain

Sufi

Su-e-Kaba Ya Su-e-Ku-e-Butan Le Jaega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet