ab ek dard bhi dil men nazar nahin aata
kisi ke kaam koi umr-bhar nahin aata
ye dil bhi dost faramosh kam nahin tujh se
ki muddaton nahin aata jidhar nahin aata
na so.en din ko vo raton ko jagte hain zarur
nahin to aankh men itna asar nahin aata
unhin ki baat hain jo main ne yaad kar li hain
magar vo un ki zaban ka asar nahin aata
muraqabe men hai kya kya mushahida ai shaiḳh
baghair us ke nazar men asar nahin aata
adam ke naam se har ek kyuun rahe bashshash
har ek shaḳhs ko lutf-e-safar nahin aata
ilaaj aur maraz men na thi koi nisbat
hamare samne ab charagar nahin aata
ghuTi hi jaati hain har roz quvvaten dil ki
main us ke sadqe jo arman bar nahin aata
dua ke Dhang hi ahbab ko nahin aate
ghalat hai ye ki dua men asar nahin aata
vo dard mol ki ho rat-din ki niind haram
to dekh aah men kaisa asar nahin aata
usi ne kah diya achchha hua ki vo kya hai
miri samajh men to ye umr-bhar nahin aata
safi’ ko sha.iri aati hai vo bhi kuchh yuun hi
use bas aur to koi hunar nahin aata
Leave a Reply