khub-ruyon se yariyan na gaiin
dil ki be-ikhtiyariyan na gaiin
aql-e-sabr-ashna se kuchh na hua
shauq ki be-qarariyan na gaiin
din ki sahra-navardiyan na chhutin
shab ki akhtar-shumariyan na gaiin
hosh yaan sadd-e-rah-e-ilm raha
aql ki harza-kariyan na gaiin
the jo ham-rang-e-naz un ke sitam
dil ki ummidvariyan na gaiin
husn jab tak raha nazzara-farosh
sabr ki sharmsariyan na gaiin
tarz-e-‘momin’ men marhaba ‘hasrat’
teri rangin-nigariyan na gaiin
Leave a Reply