kise bata.un ki gham kya hai sarḳhushi kya hai
abhi zamane ka me.ar-e-agahi kya hai
qadam qadam pe main sambhla huun Thokaren kha kar
ye Thokaron ne bataya ghalat-ravi kya hai
zamin pe lala-o-gul asman pe maah o nujum
nigah-e-hsun-e-nigah ke liye kami kya hai
kamand Daal raha hai jo chand taron par
ḳhuda hi jaane ki taqdir-e-admi kya hai
nafs ki amad-o-shud par bhi iḳhtiyar nahin
ye zindagi hai to maqsud-e-zindagi kya hai
vafa-paraston se kyuun zid hai us pe sab chup hain
saval ye hai ki is ka javab hi kya hai
‘uruj’ tirgi-e-shab ka ehtiram karo
isi se tum ne ye jaana ki tirgi kya hai
Leave a Reply