vo lamha jis se rang-e-zindagi nikhra hua sa
kabhi Thahra hua hai to kabhi guzra hua sa
baha kar le gaya sailab men jo raat kya kya
vo dariya lag raha hai din men kuchh utra hua sa
miri pahchan vo puchhe to kaise main bata.un
main apne-ap men simTa huun par bikhra hua sa
kahin be-rang si tasvir hai kyuun ai musavvir
kahin tasvir ka har naqsh hai ubhra hua sa
yaqinan der tak tum ko hi dekha hoga us ne
tabhi to aaj darpan bhi hai kuchh sanvara hua sa
Leave a Reply