kya fa.eda nahaq sitam itna na karo tum
haq se to Daro gar miri parva na karo tum
ye zulm jo tum karte ho beja nahin goya
kahte ho mujhe shikva-e-be-ja na karo tum
kahte hain ki vo bhi yahi kahte hain karun kya
kahte ho ki dil-jui-e-ada na karo tum
ham tum ko bura kahte hain ya ḳhu ko tumhari
so ḳhu ke bhi achchhe sahi jhagḌa na karo tum
tum pesh-rav-e-ahl-e-ḳharabat ho ‘nazim’
andesha-e-din-o-gham-e-duniya na karo tum
Leave a Reply