vafa ke badle tumhara itaab kaisa hai
mohabbaton ka miri ye javab kaisa hai
tha aaj sang-e-muqaddar mire liye lekin
tumhare haath men taaza gulab kaisa hai
vo qatl karte hain ham aah bhi nahin karte
sitamgaron ko hamara javab kaisa hai
amir-e-shahr se kah do gharib-e-shahr koi
fasil-e-shahr tale mahv-e-ḳhvab kaisa hai
agar hayat hai naghma to phir bata.e koi
ye kulfaton ka musalsal azaab kaisa hai
na buund hi koi barsi na barq hi chamki
hamare shahar pe chhaya sahab kaisa hai
Leave a Reply