mohabbat men thani aksar yahan tak
ki pahunche marke tiir o kaman tak
chale navak khinchi zalim kaman tak
kahan tak imtihan akhir kahan tak
chale jaate hain avaz-e-jaras par
pahunch jaenge bichhde karvan tak
hava-e-shauq ke jhonke salamat
rahoge tum pas-e-parda kahan tak
na vo ayyar mujh se puchhta hai
na dil ki baat aati hai zaban tak
usi sar ko sar-e-shorida kahiye
jo pahunche us ke sang-e-astan tak
niyaz o naaz ke charche rahenge
hamari aur tumhari dastan tak
‘mubarak’ ko koi din aur sun lo
bayan ka lutf hai us khush-bayan tak
Leave a Reply