• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chot dil Ko Jo Lage Aah-E-Rasa Paida Ho

Chot dil Ko Jo Lage Aah-E-Rasa Paida Ho

imam-bakhsh-nasikh

chot dil ko jo lage ah-e-rasa paida ho

sadma shishe ko jo pahunche to sada paida ho

kushta-e-tegh-e-judai huun yaqin hai mujh ko

uzv se uzv qayamat men juda paida ho

ham hain bimar-e-mohabbat ye dua mangte hain

misl-e-iksir na duniya men dava paida ho

kah raha hai jaras-e-qalb ba-avaz-e-buland

gum ho rahbar to abhi rah-e-khuda paida ho

kis ko pahuncha nahin ai jaan tira faiz-e-qadam

sang par kyuun na nishan-e-kaf-e-pa paida ho

mil gaya khaak men pis pis ke hasinon par main

qabr par boen koi chiiz hina paida ho

ashk tham jaaen jo furqat men to aahen niklen

khushk ho jaae jo paani to hava paida ho

yaan kuchh asbab ke ham bande hi muhtaj nahin

na zaban ho to kahan nam-e-khuda paida ho

gul tujhe dekh ke gulshan men kahen umr daraz

shakh ke badle vahin dast-e-dua paida ho

bosa manga jo dahan ka to vo kya kahne lage

tu bhi manind-e-dahan ab kahin na paida ho

na sar-e-zulf mila balbe darazi teri

rishta-tul-e-amal ka bhi sira paida ho

kis tarah sach hai na khurshed ko rajat ho jaae

tujh sa afaq men jab mah-laqa paida ho

abhi khurshed jo chhup jaae to zarrat kahan

tu hi pinhan ho to phir kaun bhala paida ho

kya mubarak hai mira dast-e-junun ai ‘nasikh’

baiza-e-bum bhi tuute to huma paida ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

obaidullah-aleem

Jo Usne Kiya Use Sila de

Zor Se Aandhi Chali to Bujh Gae Sare Charagh

aal-e-ahmad-suroor

Lo Andheron Ne Bhi Andaz Ujalon Ke Liye

bhartendu-harishchandra

But-E-Kafir Jo Tu Mujhse Khafa Hai

poet

Ye Aarzu Hai Ki Wo Nama-Bar Se Le Kaghaz

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet