na koi jalvati na koi ḳhalvati na koi ḳhaas tha na koi aam tha
na koi husn tha na koi ishq tha na yahi naam tha na vahi naam tha
na koi tha makin na koi tha makan na koi thi zamin na koi tha zaman
na koi sharq tha na koi gharb tha na dam-e-sub.h tha na sar-e-sham tha
azal la-yazal abad be-badal jo bane aj-kal ufuq-sad-amal
na kahin the ḳhafi na kahin the jali na koi tha nishan na koi naam tha
talab-e-mudda.a havas-e-narava jo kabhi kuchh kaha vo hue be-maza
vo baja-e-jaza suḳhan-e-nastra shajar-e-hirs ka samar-e-ḳham tha
jo lage aag bhi to na ho zau-fishan jo bujhe sho.ala bhi to na uThe dhuan
na gila hijr ka na sila ishq ka ye vahi hukm tha jo mire naam tha
jo bujhi sham-e-dil to baḌhi raushni jo piya zahr-e-gham to baḌhi zindagi
ye tu hi ab bata zara munsifi ye tira kaam tha ki mira kaam tha
suḳhan-e-‘arzu’ chaman-e-arzu ḳhutan-e-arzu adn-e-arzu
ye dur-e-be-sadaf qamar-e-ba-sharaf na tah-e-ḳhana tha na sar-e-bam tha
Leave a Reply