is tariqe ko adavat men rava rakhta huun main
apne dushman ke liye harf-e-dua rakhta huun main
main faqiri men bhi ahl-e-zar se behtar hi raha
kuchh nahin rakhta magar nam-e-ḳhuda rakhta huun main
main kabhi tanha nahin hota sar-e-kunj-e-chaman
vo na hon to haath men dast-e-saba rakhta huun main
main ne kam khoya siva paaya hai kar-e-ishq men
dil jahan tha ab vahan ik dil-ruba rakhta huun main
jaane kab aa jaa.e vo sahba misal-e-fasl-e-gul
is liye virana-e-dil ko saja rakhta huun main
Leave a Reply