hai gali sunsan khiḌki band rakh
main yahan anjan khiḌki band rakh
kya pata kab paar ho jaa.en haden
tez hai tufan khiḌki band rakh
main to banjara huun mujh se is qadar
mat baḌha pahchan khiḌki band rakh
ab hamare gaanv ke ma.asum bhi
ho ga.e shaitan khiḌki band rakh
Leave a Reply