bahar bhi ab andar jaisa sannata hai
dariya ke us paar bhi gahra sannata hai
shor thame to shayad sadiyan biit chuki hain
ab tak lekin sahma sahma sannata hai
kis se bolun ye to ik sahra hai jahan par
main huun ya phir gunga bahra sannata hai
jaise ik tufan se pahle ki khamoshi
aaj miri basti men aisa sannata hai
nai sahar ki chaap na jaane kab ubhregi
charon janib raat ka gahra sannata hai
soch rahe ho socho lekin bol na padna
dekh rahe ho shahr men kitna sannata hai
mahv-e-khvab hain saari dekhne vaali ankhen
jagne vaala bas ik andha sannata hai
darna hai to an-jani avaz se darna
ye to ‘anis’ dekha-bhala sannata hai
Leave a Reply