Teri Ai Shah-E-KHuban Ho Bala chaT

tirī ai shāh-e-ḳhūbāñ ho balā chaT

vo bosa de ki ho jis kī sadā chaT

muñDā kar ḳhatt-e-ruḳh us mah-laqā ne

kiyā hai aa.ine kā ghar safā-chaT

mujhī ko gāliyāñ dete rahe vo

magar letā rahā bose chaTā-chaT

tumhārī zulf kā bāñdhā na chhūTā

Dasā kaale ne jis ko vo muā chaT

musallam murġh-e-dil hai mehmān-e-ġham

kare jald ai ḳhudā vo ye ġhizā chaT

‘vaqār’ us gul ko ġhuncha ne jo dekhā

to ausāf-e-dahan meñ bol uThā chaT

Leave a Comment