ab na vo shaḳh hai na patthar hai
kab se jangal men koi be-ghar hai
koi saaya nazar nahin aata
jab se ankhon men ek paikar hai
haan kabhi ghumti rahi hogi
ab zamin be-niyaz-e-mehvar hai
zahr piine koi nahin aata
kitna be-tab ye samundar hai
ruuTh kar chal diye na.e raahi
sar jhuka.e khaḌa sanobar hai
muḌ ke dekho to sang ho jaao
aur aage baḌho samundar hai
apna shisha liye kahan ja.un
shahr ka shahr saara patthar hai
Leave a Reply