dil ke aine men nit jalva-kunan rahta hai
ham ne dekha hai tu ai shokh jahan rahta hai
koi din ghar se na nikle hai agar vo khurshid
muntazir shaam talak ek jahan rahta hai
jhaad daman ke taiin maar ke thokar nikle
kahin roke se bhi vo sarv-e-ravan rahta hai
gaahe maahe ai mah-e-id idhar bhi to guzar
roz o shab bazm men tera hi bayan rahta hai
bavajud-e-ki mujhe rabt-e-dili hai us se
ye na puchha kabhu ‘iman’ kahan rahta hai
Leave a Reply