gunahgaron ki uzr-khvahi hamare sahib qubul kiije
karam tumhare ki kar tavaqqoa ye arz kiite hain maan liije
gharib aajiz jafa ke maare faqir be-kas gada tumhare
so ven sitam siin maren bichare agar jo un par karam na kiije
pade hain ham biich men bala ke karam karo vaste khuda ke
hue hain bande tiri raza ke jo kuchh ke haq men hamare kiije
bipat padi hai jinhon pe gham ki jigar men atish lagi alam ki
kahan hai taqat unhen sitam ki ki jin pe iita itaab kiije
hamare dil pe jo kuchh ki guzra tumhare dil par agar ho zahir
tu kuchh ajab nahin pathar ki manind agar yatha dil ki sun pasije
agar gunah bhi jo kuchh hua hai ki jis siin iita zarar hua hai
to ham siin vo be-khabar hua hai dilon siin is kuun bhulae diije
hue hain ham ‘abru’ nishane lage hain taane ke tiir khane
tira bura ho are zamane bata tu is tarah kyuun ki jiije
Leave a Reply